giitaayan An Interface to ISB

badan pe sitaare lapeTe hue, o jaan\-e\-tamannaa kidhar jaa rahii ho - Prince (1969)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
% Here is a fast number from "Prince", which Rafi handles with ease. It % seems SJ and Hasrat composed this song when they were watching a stage % show during one of their visits to Russia. There was someone with a % real glittering custome on stage and SJ asked Hasrat if he can compose % some lyrics for this situation and Hasrat immediately came up with.. % 'badan pe sitaare lapete hue...':) % satish % badan pe sitaare lapeTe hue, o jaan-e-tamannaa kidhar jaa rahii ho zaraa paas aao to chain aa jaae, zaraa paas aao to chain aa jaae hamii.n jab naa ho.nge, to ai dilarubaa, kise dekhakar, haay, sharamaaogii naa dekhogii phir tum kabhii aainaa, hamaare binaa roz ghabaraaogii badan pe sitaare lapeTe hue ... hai banane sa.nvarane kaa jab hii mazaa, koI dekhane vaalaa aashiq to ho nahii.n to ye jalave hai.n bujhate diye, koI miTane vaalaa ek aashiq to ho badan pe sitaare lapeTe hue ... muhabbat ki ye i.ntahaa ho gaI, ki mastii me.n tumako khudaa kah gayaa zamaanaa ye i.nsaaf karataa rahe, buraa kah gayaa yaa bhalaa kah gayaa badan pe sitaare lapeTe hue ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.