giitaayan An Interface to ISB

bikharaa ke zulfe.n chaman me.n na jaanaa - Nazrana (1961)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Ravi | Singer(s): Lata, Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
bikharaa ke zulfe.n chaman me.n na jaanaa - kyo.n? is liye ki sharmaa na jaaye.n phuulo.n ke saaye muhabbat ke naGame tum bhii na gaanaa - kyo.n? is liye ki bha.Nvaraa tumhaarii ha.Nsii na u.Daaye muhabbat ke bha.Nvare kii pahachaan kyaa? ye kaliyo.n se puuchho hame.n kyaa pataa har_jaa_ii hogaa ham to nahii.n hai.n kahii.n siikh lenaa na tum ye adaa zubaa.N par kabhii baat aisii na laanaa - kyo.n? is liye ki duniyaa.N se rasm-e-vafaa miT na jaaye kaho saath doge kahaa.N tak meraa vahaa.N tak jahaa.N aasamaa.N jhuk rahaa bolo chalogii? jo tum le chaloge kahii.n raah me.n ho na jaanaa judaa meraa pyaar dekhegaa saaraa zamaanaa - kyo.n? is liye ki vaade kiye aur kar ke nibhaaye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.