giitaayan An Interface to ISB

chaman ke phuul bhii tujhako gulaab kahate hai.n - Shikari (1963)  

Lyrics: Farouq Qaiser | Music: G S Kohli | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
chaman ke phuul bhii tujhako gulaab kahate hai.n hamii.n nahii.n hai.n sabhii laajavaab kahate hai.n nazar milaake mere dil kii baat pahachaano sunaa hai chehare ko dil kii kitaab kahate hai.n chaman ke phuul bhii tujhako saaz-e-dil chhe.D diyaa hai to ye naGamaa sun lo bikharii-bikharii hai.n mere pyaar kii kiraNe.n chun lo isii kiraN ko sanam aafataab kahate hai.n hamii.n nahii.n, hamii.n nahii.n hamii.n nahii.n hai.n sabhii laajavaab kahate hai.n chaman ke phuul bhii tujhako chashm-e-hairaa.N kii qasam, zulf-e-pareshaa.N kii qasam maa.Ng lo jaan tumhe.n aaj merii jaa.N kii qasam Gazab kii baat hai ye kyaa janaab kahate hai hamii.n nahii.n, haay, hamii.n nahii.n hamii.n nahii.n hai.n sabhii laajavaab kahate hai.n chaman ke phuul bhii tujhako aaj tak dekhii nahii.n aisii bahakatii aa.Nkhe.n Daal do ha.Ns_ke in aa.Nkho.n me.n chhalakatii aa.Nkhe.n sa.mbhal ke piinaa ise sab sharaab kahate hai.n hamii.n nahii.n, hamii.n nahii.n hamii.n nahii.n hai.n sabhii laajavaab kahate hai.n chaman ke phuul bhii tujhako ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.