giitaayan An Interface to ISB

jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye - Sehra (1963)  

Lyrics: Hasrat | Music: Ramlal | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
kalii kab tak chhupegii ek bha.Nvare kii nigaah se chamak jaatii hai bijalii khud hii in gaharii ghaTaa_o.n me.n baras pa.Datii hai shabanam aap hii ThaNDii fizaa_o.n se are jaa jaa! jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye kitane paanii me.n ho pahachaan gaye tum kitane paanii me.n ho pahachaan gaye jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye aa~ kinaare aa ke laharo.n kaa ishaaraa dekhane vaale tujhe apanii khabar bhii hai nazaaraa dekhane vaale tamashaa khud na ban jaanaa tamashaa dekhane vaale jaa jaa jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye aa~ badal kar bhes paravaane kaa shamaa jhilamilaatii hai nashiilii shaam ke parde me.n subah muskuraatii hai vo sholaa ho ki chi.ngarii machal kar naach jaatii hai to dha.Dakate dil se mere madabharii aavaaz aatii hai jaa jaa are jaa jaa jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye aa~ shamaa se bach ke rahanaa saarii tan man ko jalaa degii vo sholaa ho ki chi.ngarii lagii me.n aur lagaa degii subaha jab muskuraayegii to vo tuufaan uThaa degii khulegaa shaam ka pardaa vo tujh ko bhii miTaa degii jaa jaa jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye aa~ ye kaalii reshamii zulfe.n sharaabii nain ke pyaale ye dil kaa haal kah dete hai.n dono.n ye hii matavaale nahii.n Darate kisii se jiit kar bhii haarane vaale qayaamat kii nazar rakhate hai.n lekin taa.Dane vaale jaa jaa jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye aa~ ye zulfe.n to nahii.n Dasane vaale naag hai.n kaale ye do aa.Nkhe.n nahii.n zahar se bhar_puur hai.n pyaale tuu aa.Nkhe.n rakh ke bhii behosh hai are taa.Dane vaale qayaamat saamane hai jaan ke pa.D jaaye.nge laale jaa jaa jaa jaa jaa re tujhe ham jaan gaye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.