(bahanaa ne bhaaii kii kalaaii se
bahanaa ne bhaaii kii kalaaii se pyaar baa.Ndhaa hai
pyaar ke do taar se, sa.Nsaar baa.Ndhaa hai
resham kii Dorii se -2
resham kii Dorii se sa.Nsaar baa.Ndhaa hai) -2
su.ndarataa me.n jo kanhaiyaa hai
mamataa me.n yashodaa maiyyaa hai
vo aur nahii.n duujaa koii
vo to meraa raajaa bhaiyaa hai
bahanaa ne bhaaii...
meraa phuul hai tuu, talvaar hai tuu
merii laaj kaa paharedaar hai tuu
mai.n akelii kahaa.N is duniyaa me.n
meraa saaraa sa.Nsaar hai tuu
bahanaa ne bhaaii...
hame.n duur bhale kismat kar de
apane man se na judaa karanaa
saavan ke paavan din bhaiyaa
bahanaa ko yaad kiyaa karanaa
bahanaa ne bhaaii...
|