lagii mast nazar kii kaTaar dil ke utar gayii paar
in pyaar kii raaho.n me.n
dil bhii gayaa ham bhii gaye
zakhm-e-jigar hai bahaar
cheharaa chamakiilaa suuraj ho jaise pyaar kaa
baahe.n laharaatii naqshaa hai ik talavaar kaa
ham to luT gaye
khushii se ham to luT gaye
khaamosh nazaaro.n me.n
pyaasii adaa jis pe fidaa
ham to hue sau baar
mast nazar kii kaTaar
aa.Nkhe.n matavaalii ulfat ke jaise raaste
palake.n alabelii chhaayaa hai mere vaaste
ghuume zi.ndagii nashe me.n jhuume.n zi.ndagii
dilabar ke khayaalo.n me.n
ham to magan gaate chale
pyaar ke naGame hazaar
mast nazar kii kaTaar
khushabuu zulfo.n kii aatii hai sard havaao.n se
khoyaa chaahat me.n ab guzaruu.N huu.N jis gaa.Nv se
yaade.n gher le.n hamako yaade.n gher le.n
ja.ngal kii fizaao.n me.n
vo jo nahii.n phiikaa lage
ra.ng bharaa sa.nsaar
|