giitaayan An Interface to ISB

na jaane kyaa huaa jo tuune chhuu liyaa - Dard (1981)  

Lyrics: Naqsh Lyallpuri | Music: Khayyam | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
na jaane kyaa huaa jo tuune chhuu liyaa khilaa gulaab kii tarah meraa badan nikhar nikhar ga_ii sa.Nvar sa.Nvar ga_ii banaake aa_iinaa tujhe ai jaaneman na jaane kyaa huaa ... bikharaa hai kaajal fizaao.n me.n bhiigii bhiigii hai.n shaame.n buu.Ndo.n kii rim-jhim se jaagii aag Tha.nDii havaa me.n aajaa sanam ye hasii.n aag ham le.n dil me.n basaa na jaane kyaa huaa ... aa.Nchal kahaa.N mai.n kahaa.N huu.N ye mujhe hosh kyaa hai ye beKudii tuune dii hai pyaar kaa ye nashaa hai sun le zaraa saaz-e-dil gaa rahaa hai naGamaa teraa na jaane kyaa huaa ... kaliyo.n kii ye sej mahake raat jaage milan kii kho jaae.N dha.Dakan me.n dha.Dakane.n mere man kii aa paas aa terii har saa.Ns me.n mai.n jaa_uu.N samaa na jaane kyaa huaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.