giitaayan An Interface to ISB

taqadiir kaa fasaanaa jaakar kise sunaa_e.n - Sehra (1963)  

Lyrics: Hasrat | Music: Ramlal | Singer(s): Rafi / Lata 
View in Nagari (Hindi)
##Rafi version## taqadiir kaa fasaanaa jaakar kise sunaae.N is dil me.n jal rahii hai.n aramaan kii chitaae.N saa.Nso.n me.n aaj mere tuufaan uTh rahe hai.n shahanaaiyo.n se kah do kahii.n aur jaake gaae.N matavaale chaa.Nd-suuraj teraa uThaae.N Dolaa tujhako Khushii kii pariyaa.N ghar tere leke jaae.N tum to raho salaamat seharaa tumhe.n mubaarak meraa har ek aa.Nsuu dene lagaa duaae.N ----- ##Lata version## uja.D gayaa hai muhabbat me.n zindagii kaa chaman sitaare hai.n merii duniyaa ke aa.Nsuo.n kaa qafan taqadiir kaa fasaanaa jaakar kise sunaae.N is dil me.n jal rahii hai.n aramaan kii chitaae.N dekhe the jo bhii sapane vo ban gae hai.n aa.Nsuu jaatii huii havaao.n, le jaao merii aahe.N apanaa to Gam nahii.n hai, Gam hai to itanaa Gam hai vo bewafaa na samajhe.n, hamase badal na jaae.N is bebasii pe merii roegaa aasamaa.N bhii Duubegii saarii dharatii, dekhe.ngii ye fizaae.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.