giitaayan An Interface to ISB

ye mard ba.De dil sard ba.De - Miss Mary (1957)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Lata / Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ye mard ba.De dil sard ba.De bedard na dhokhaa khaanaa miiThii miiThii batiyo.n me.n bhuul ke na aanaa hote hai.n chhoTe dil ke lambii zubaan vaale dete hai.n maal khoTaa uu.Nchii dukaan vaale chhoTaa mu.Nh aur baat ba.Dii ye hai dastuur puraanaa miiThii miiThii batiyo.n me.n bhuul ke na aanaa ... baat pate kii hai ye maano jo meraa kahanaa achchhaa hai aag se to duur hii duur rahanaa jhuuThii inakii jaat ba.Dii ye hai dastuur puraanaa miiThii miiThii batiyo.n me.n bhuul ke na aanaa ... ## Rafi version ## ye mard ba.De dil sard ba.De bedard chalo jii maanaa mardo.n kaa phir bhii Gulaam hai zamaanaa ... duniyaa ke saath chalo nayaa zamaanaa hai ye mardo.n ko dosh denaa raag puraanaa hai ye jhuuThii inakii jaat kaho yaa kaho inhe.n diivaanaa mardo.n kaa phir bhii Gulaam hai zamaanaa ... gussaa guruur la.Danaa naarii kii bhuul hai ye ThaNDaa mijaaz rakhanaa pahalaa usuul hai ye baat pate kii kahataa huu.N tum chaahe kaho diivaanaa mardo.n kaa phir bhii Gulaam hai zamaanaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.