giitaayan An Interface to ISB

ardh satya - Ardh Satya (1983)  

Lyrics: Dilip Chitre | Music: Ajit Varman | Singer(s):  
View in Nagari (Hindi)
chakravyuuh me.n ghusane se pahale mai.n kaun thaa aur kaisaa thaa ye mujhe yaad hii na rahegaa chakravyuuh me.n ghusane ke baad mere aur chakravyuuh ke biich sirf ek jaan-levaa nikaTataa thii isakaa mujhe pataa hii na chalegaa chakravyuuh se baahar nikalane par mai.n mukt ho jaa_uu.N bhale hii phir bhii chakravyuuh kii rachanaa me.n farq hii na pa.Degaa maruu.N yaa maaruu.N maaraa jaa_uu.N yaa jaan se maar duu.N is kaa faisalaa kabhii na ho paayegaa soyaa huaa aadamii jab nii.nd se uTh kar chalanaa shuruu karataa hai tab sapano.n kaa sa.nsaar use dubaaraa dikh hii na paayaegaa us roshanii me.n jo nirNay kii roshanii hai sab kuchh samaan hogaa kyaa? ek pala.De me.n napu.nsakataa ek pala.De me.n paurushh aur Thiik taraazuu ke kaa.Nte par ardh-satya % % The other poem... % kR^iti ke pahale aayaa huaa vichaar aur vichaar ke baad vaalii kR^ti in ke darmiyaan aahuti jo mai.n ne dii jin jin {kshh}aNo.n me.n mai.n bhuul gayaa thaa deh bhaan jin jin {kshh}aNo.n me.n ulajh gayaa thaa kR^iti me.n unhii.n {kshh}aNo.n me.n mujhe dikhaa_ii dii tumhaarii sampuurN aakR^iti ho chukii hai ab merii kR^iti purii aur tumhaarii aakR^iti bujh ga_ii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.