are bha_ii nikal ke aa ghar se! (2)
e~ e~ e~
are bha_ii nikal ke aa ghar se, aa ghar se (2)
duniyaa kii raunak dekh phir se dekh le phir se (2)
hoy! are bha_ii nikal ke aa ghar se, aa ghar se
kem uu.Ngheche bha_ii ghanashyaam jii, o (2)
o~
duniyaa badal gayii pyaare, aage nikal gayii pyaare (2)
andhe ku.Ne me.n ghus ke kyo.n baiThaa huaa hai man maare (2)
are bha_ii nikal ke aa ghar se ...
tulaa bhiitii hii kasalii vaaT te, re (2)
o~
paanii ko, tel ko chho.Daa, bijalii kii rel ko chho.Daa (2)
kal chaa.Nd aur taaro.n me.n pahu.Nchegaa aiTamii gho.Daa
are bha_ii, are bha_ii
are bha_ii nikal ke aa ghar se ...
kaino bhaaben okaaran ai ba.nkii baabuu, re (2)
o~
kal jo thaa kal rahaa hogaa, aage kii soch kyaa hogaa (2)
TuuTii puraanii Dhaphalii pe, tuu kal kamar diyaa malegaa? (2)
are bha_ii nikal ke aa ghar se ...
|