us dil kii qismat kyaa kahiye
us dil kii qismat kyaa kahiye
jis dil kaa sahaaraa koii nahii.n
bedard zamaane kyaa terii
(bedard zamaane kyaa terii mahafil me.n hamaare koii nahii.n)-2
bedard zamaane
is Gam kii raat ke aa.Nchal me.n,vaise to hazaaro.n taare hai.n
(vaise to hazaaaro.n taare hai.n)-2
banajaaye jo aas musaafir kii
banajaaye jo aas musaafir kii aisaa hii sitaaraa koii nahii.n
bedard zamaane...
ulfat ke chaman me.n aii naadaa.n
ulfat ke chaman me.n aii naadaa.n kyuu.N Dhuu.NDh rahaa hai kaliyo.n ko
yahaa.N Gam ke kaa.NTe uThate(chubate?) hai.n
yahaa.N Gam ke kaa.NTe uThate hai.n, phuulo.n kaa nazaaraa koii nahii.n
bedard zamaane...
|