(dil kii duniyaa basaa ke saa.Nvariyaa)-2
tum na jaane kahaa.n kho gaye, kho gaye
saath rahanaa thaa saarii umariyaa
duur naazaro.n se kyo.n ho gaye, ho gaye
jaane vaale
(jaane vaale, pataa teraa mai.n ne
aatii jaatii bahaaro.n se puuchhaa)-2
(chup rahe jab zamiin ke nazaare
aasamaan ke sitaaro.n se puuchhaa)-2
(sun ke baadal bhii merii kahaanii)-2
bebasii par merii ro gaye, ro gaye
dil kii duniyaa ...
ha.Ns rahaa hai
(ha.Ns rahaa hai ye zaalim zamaanaa
apanii khushiy.on kii mahafil sajaaye)-2
(mai.n akelii magar ro rahii huu.N
terii yaado.n ko dil se lagaaye)-2
(bahate bahate ye aa.Nsuu bhii haare)-2
aake palako.n pe so gaye,so gaye
dil kii duniyaa ...
|