giitaayan An Interface to ISB

bekas kii tabaahii ke saamaan hazaaro.n hai.n - Sone Ki Chidiyaa (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
bekas kii tabaahii ke saamaan hazaaro.n hai.n diipak to akelaa hai, tuufaan hazaaro.n hai.n majabuur kiyaa hamako laachaar kiyaa hamako dukh dard jalan aa.Nsuu, kyaa-kyaa naa diyaa hamako bhagavaan tere ham par ehasaan hazaaro.n hai.n diipak to akelaa hai, tuufaan hazaaro.n hai.n suurat se to insaa.N hai.n, dushman hai.n muhabbat ke sab chor hai.n Daakuu hai.n, maa.N-bahano.n kii izzat ke kahane ko zamaane me.n insaan hazaaro.n hai.n diipak to akelaa hai, tuufaan hazaaro.n hai.n hamadard nahii.n milataa, phir aae jahaa.N bhar me.n motii kii tarah pyaase, rote hai.n samandar me.n apanaa hii nahii.n koii anajaan hazaaro.n hai.n diipak to akelaa hai, tuufaan hazaaro.n hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.