giitaayan An Interface to ISB

meraa pyaar haar gayaa haay re - Naagin (Pakistan) (1959)  

Lyrics:  | Music:  | Singer(s): Zubeida Khanum 
View in Nagari (Hindi)
ro rahii hai.n hasarate.n milanaa bahut dushvaar hai is taraf mai.n us taraf tuu darmiyaa.N diivaar hai meraa pyaar haar gayaa haay re maa.Ngii Kushii duHkh paaye re ko_ii kahaa.N ab jaaye re meraa pyaar haar gayaa haay re baras rahii hai.n aa.Nkho.n se chham chham, bin baadal barasaate.n ojhal ho gayaa chaa.Nd nazar se naagin ban ga_ii raate.n haay naagin ban ga_ii raate.n dil baar baar ghabaraaye re maa.Ngii Kushii duHkh paaye re ko_ii kahaa.N ab jaaye re meraa pyaar haar gayaa haay re be-par huu.N mai.n paas tumhaare kaise u.D kar jaa_uu.N sar Takaraa kar is pi.njare se mai.n naa kahii.n mar jaauu.N haay mai.n naa kahii.n mar jaauu.N roye.n nain chain nahii.n aaye re maa.Ngii Kushii duHkh paaye re ko_ii kahaa.N ab jaaye re meraa pyaar haar gayaa haay re
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.