(shiishe se pii, yaa paimaane se pii
yaa merii aa.Nkho.n ke maiKaane se pii
par pii diivaane, Kushii se jii diivaane) -2
shiishe se pii, yaa paimaane se pii
(husn kha.Daa hai terii raaho.n me.n
Daal de baahe.n zaraa baaho.n me.n) -2
raat suhaanii hai, bahakii javaanii
pii le nigaaho.n hii nigaaho.n me.n
(jaan le aa.Nkho.n ke ishaaro.n ko
luuT le duniyaa kii bahaaro.n ko) -2
mai.n huu.N sanam terii
tujhako qasam merii
chhe.D le tuu bhii dil ke taaro.n ko
(dekh ye gha.Dii phir naa aayegii
zulfo.n kii ghaTaa phir naa chhaayegii
baat samajh merii
kal ye umar terii
mausam kii tarah biit jaayegii
|