giitaayan An Interface to ISB

suniye to zaraa kahaa.N ruuTh ke chale - Ankh Michouli (1962)  

Lyrics: Majrooh | Music: Chitragupt | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
suniye to zaraa kahaa.N ruuTh ke chale yuu.N baat ba.Dhaayaa nahii.n karate - haa.N memsaab - jii memsaab suniye to zaraa kahaa.N ruuTh ke chale yuu.N baat ba.Dhaayaa nahii.n karate jis dil me.n sanam tasaviir ho terii us ko Thukaraayaa nahii.n karate - haa.N memsaab - jii memsaab chho.Do gussaa sambhaalo zaraa aa.Nchal dekho dekho ulajh gayii paayal ajii ho ke khafaa yuu.N ek dam uTh ke jaayaa nahii.n karate suniye to zaraa ... jo ye TuuTe to koii mushkil hai vo to kaho ki dil meraa dil hai ajii darpaN ko yuu.N har dam Thes lagaayaa nahii.n karate suniye to zaraa ... kahaa aao to tum lage jaane is adaa ke hamii.n hai.n diivaane ajii aur ko ham apanii qasam yuu.N bulaayaa nahii.n karate suniye to zaraa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.