giitaayan An Interface to ISB

aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar - Mehboobaa (1954)  

Lyrics: Tanvir Naqvi | Music: Roshan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar)-2 raah takate thak gayaa hai i.ntazaar aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar is qadar bechain hai duniyaa merii dil kii har Dha.Dakan me.n hai aahaT terii aarazu_e.n ho rahii.n hai.n beqaraar aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar (dil sadaaye.n de rahaa hai tuu kahaa.N)-2 mu.ntazir hai.n chaa.Nd taare aasamaa.N ye havaa_e.n ye fizaaye.n ye bahaar aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar aas tere vo hasii.n raate.n ga_ii pyaar kii ra.ngii.n mulaaqaate.n ga_ii rah gayaa hai dard dil kii yaadagaar aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.