ko: ek aas ek aasaraa hai tere shyaam kaa
aasaraa hai shyaam kaa
ek diip raah me.n jale tumhaare naam kaa
aasaraa hai shyaam kaa
teraa ye jahaa.N
yahaa.N meraa aur ko_ii nahii.n
yahaa.N meraa aur ko_ii nahii.n
su: TuuT gayii Dor sabhii
ek aas baakii rahii
shyaam se milan kii
aa_o shyaam sundar
ab to shaam ho chalii
jiivan kii
more nain jhare
naino roye jaise ghaTaa saavan kii
aa_o shyaam sundar ...
sakhi rain ghire
dhiire dhiire rain ghire
din to jaise-taise kaTe
kaise kaTe ratiyaa.N
nii.nd aaye kaise jab se base
akhiyan me.n akhiyaa.N
ko_ii jaane naa jaane naa
morii baat ye lagan kii
aa_o shyaam sundar ...
|