giitaayan An Interface to ISB

aate jaate khuub_suurat aavaaraa sa.Dako.n pe - Anurodh (1977)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
aate jaate khuub_suurat aavaaraa sa.Dako.n pe kabhii kabhii ittefaaq se kitane a.njaan log mil jaate hai.n un me.n se kuchh log bhuul jaate hai.n kuchh yaad rah jaate hai.n aavaaz kii duniyaa ke dosto.n kal raat isii jagah pe mujhako kis qadar ye hasii.n Kayaal milaa hai raah me.n ik reshamii rumaal milaa hai jo giraayaa thaa kisii ne jaan kar jis kaa ho le vo jaaye pahachaan kar varanaa mai.n rakh luu.Ngaa us ko apanaa jaan kar kisii husn-vaale kii nishaanii maan kar, nishaanii maan kar ha.Nsate gaate logo.n kii baate.n hii baate.n me.n kabhii kabhii ik mazaak se kitane javaan kisse ban jaate hai.n un kisso.n me.n chand bhuul jaate hai.n chand yaad rah jaate hai.n un me.n se kuchh log ... taqadiir mujh pe maharabaan hai jis shokh kii ye daastaan hai us ne bhii shaayad ye paiGaam sunaa ho mere giito.n me.n apanaa naam sunaa ho duur baiThii ye raaz vo jaan le merii aavaaz ko pahachaan le kaash phir kal raat jaisii barasaat ho aur merii us kii kahii.n mulaaqaat ho lambii lambii raato.n me.n nii.nd nahii.n jab aatii kabhii kabhii is firaaq se kitane hasii.n Kvaab ban jaate hai.n un me.n se kuchh Kvaab bhuul jaate hai.n kuchh yaad rah jaate hai.n un me.n se kuchh log ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.