giitaayan An Interface to ISB

ai chaa.Nd zaraa sun le - Pyar ki manzil (1950)  

Lyrics: Shevan Rizvi | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Lata, Husnalal 
View in Nagari (Hindi)
l: ai chaa.Nd zaraa sun le chhoTaa saa fasaanaa hai hu: tujh par bhii javaanii hai apanaa bhii zamaanaa hai ai chaa.Nd zaraa sun le hu: ik husn kaa panaghaT par ik husn kii raanii thii Kaamosh nigaahe.n thii Gurabat me.n javaanii thii l: Kaamosh nigaaho.n kaa kuchh haal sunaanaa hai ai chaa.Nd zaraa sun le ... l: anajaan kii nazaro.n me.n kuchh aisii hu_ii baate.n pahachaanii hu_ii jaise hotii hai.n mulaaqate.n hu: kyaa dil me.n kisii ke thaa ye dil ne hii jaanaa hai ai chaa.Nd zaraa sun le ... l: aa.Nkho.n se hamaarii vo tasaviir nahii.n jaatii hu: pahale kii tarah ham ko kyo.n nii.nd nahii.n aatii l: vo aur zamaanaa thaa ye aur zamaanaa hai ai chaa.Nd zaraa sun le ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.