sh: baar baar tum soch rahii ho
man me.n kaun sii baat, man me.n kaun sii baat
la: chaar dino.n kii chaa.Ndanii hai phir a.Ndhiyaarii raat
sh: aaj tumhaare chehare kii ra.ngat bolo kyo.n badalii hai
la: mujhe bhii Kud maaluum nahii.n
ki merii kashtii kidhar chalii hai
sh: duur o dekho jhil-mil jhil-mil
chamak rahii hai apanii ma.nzil
us ma.nzil kii or sajaniyaa
chalo chale.n ek saath
la: kitanaa hai aasaan jagat me.n man ke mahal banaanaa
par kitanaa mushqil hai apane haath se unhe.n giraanaa
kitanaa hai aasaan jagat me.n man ke mahal banaanaa
pahale ek dhu.Ndhalii sii aashaa, phir majabuurii aur niraashaa
sh: prem ke path par har premii ko milii yahii sauGaat
|