har shaam shaam-e-Gam hai
har raat hai a.ndherii
apanaa nahii.n hai ko_ii
kyaa zi.ndagii hai merii
Gam sahate sahate Gam kii
(tasaviir ban gayaa huu.N) - 2
jaa ai bahaar-e-duniyaa
haalat na puuchh merii
kyaa zi.ndagii hai merii
har shaam shaam-e-Gam hai
saamaan-e-zi.ndagii me.n
(kuchh bhii nahii.n bachaa hai) - 2
ek dard rah gayaa hai
aur ek yaad terii
kyaa zi.ndagii hai merii
har shaam shaam-e-Gam hai ...
khushiyo.n kaa ek din bhii
(aayaa na zi.ndagii me.n) - 2
pachhataa rahaa huu.N mai.n to
duniyaa me.n aa ke terii
kyaa zi.ndagii hai merii
har shaam shaam-e-Gam hai ...
|