jahaa.N me.n ko_ii nahii.n hai apanaa har ek ko Kuub aazmaayaa
hu_ii karam kii jahaa.n tavaqqo, usii ne jii khol kar sataayaa
kisii kii barbaad zindagii hai, kisii ko ronaa hai apane dil kaa
tumhii.n bataa do bajuz ziyaa.n ke kisii ne kyaa tum se mil ke payaa
har ek zarre se tum ko puuchhaa, har ek goshe me.n dii sadaa_e.n
pataa to do kuchh kahaa.N chhupe ho ki har jagah tum ko Dhuu.NDh aayaa
jo haa.N kahuu.N unape harf aa_e, nahii.n jo kah duu.N to mai.n hii jhuuTaa
savaal karate hai.n woh mujhii se, ke ham ne dil ko tere dukhaayaa
|