giitaayan An Interface to ISB

jiivan kii biinaa kaa taar bole - Rani Rupmati (1959)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: S N Tripathi | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
jiivan kii biinaa kaa taar bole saanson me.n sur kaa singaar bole hriday kii dhadakan me.n pyaar bole jaane kyaa bole, kyaa bole kyaa bole kyaa bole o jaane kyaa bole kyaa bole kyaa bole kisane sunaake suriile sii taan, mere kaano.n me.n ras diyaa ghol re kiskii rasiilii tara.ngo.n ne mere dil ko kiyaa Daa.NvaaDol re dil ko kiyaa Daa.NvaaDol re man ke chaman kii bahaar bole koyal kii miiThii pukaar bole jhaanjhar kii jhan jhan jhankaar bole jaane kyaa bole thereedots saagar kii lahare sunaaye re sargam,baadal kaa rang huaa laal re kaisaa ye giit aaj gaayaa gagan ne,dhartii bhii dene lagii taal re dhartii bhii dene lagii taal re chandaa kii kiranon kaa haar bole iThalaate jharanon ki dhaar bole man kaa papiiha baar baar bole jaane kyaa bole thereedots
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.