kaisii chalii hai ab ke havaa, tere shahar me.n
bande bhii ho gaye hai.n Kudaa, tere shahar me.n
kyaa jaane kyaa huaa ki pareshaan ho gayii
ek lahazaa ruk gayii thii sabaa tere shahar me.n
%
% [ek lahazaa = for an instant, momentarily]
%
kuchh dushmanii kaa Dhab hai na ab dostii ke taur
dono.n kaa ek ra.ng huaa tere shahar me.n
%
% [Dhab, taur == style, manner.]
%
shaayad unhe.n pataa thaa ki Kaatir hai ajanabii
logo.n ne usako luuT liyaa tere shahar me.n
|