giitaayan An Interface to ISB

raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai - Sajni (1956)  

Lyrics: Pt. Narendra Sharma | Music: Sudhir Phadke | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
raat a.ndhiyaarii hai raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai sukh se tuu so mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai taare hai.n gagan me.n, aa.Nsuu hai.n nayan me.n ab naa samaaye merii piir, mere man me.n dharatii bhii roye aur roye aasamaa.N mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai sisak rahaa hai praaN, viinaa kaa taar taar (jahaa.N bhii nayan jaaye a.ndhakaar a.ndhakaar)-2 aa.Nsuuo.n ke motiyo.n kii tuu hai musakaan mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai jahaa.N bhii tuu rahe, mere aa.Nsuuo.n kii dhaar rahe balihaarii jaa_uu.N maan, meraa man praaN kahe mere pyaare devataa kaa tuu hai varadaan mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai raat a.ndhiyaarii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.