giitaayan An Interface to ISB

us dil kii qismat kyaa kahiye - Lahore (1949)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Shyam Sundar | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
us dil kii qismat kyaa kahiye us dil kii qismat kyaa kahiye jis dil kaa sahaaraa koii nahii.n bedard zamaane kyaa terii (bedard zamaane kyaa terii mahafil me.n hamaaraa koii nahii.n) -2 bedard zamaane is Gam kii raat ke aa.Nchal me.n vaise to hazaaro.n taare hai.n vaise to hazaaro.n taare hai.n ban jaaye jo aas musaafir kii ban jaaye jo aas musaafir kii aisaa hii sitaaraa koii nahii.n bedard zamaane ... ulfat ke chaman me.n ai naadaa.N ulfat ke chaman me.n ai naadaa.N kyo.n Dhuu.NDh rahaa hai kaliyo.n ko yahaa.N Gam ke kaa.NTe ugate hai.n yahaa.N Gam ke kaa.NTe ugate hai.n phuulo.n kaa nazaaraa koii nahii.n bedard zamaane ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.