zi.ndagii ai zi.ndagii - zi.ndagii, tere hai.n do ruup 2
biitii huii raato.n kii baato.n kii tuu chhaayaa
chhaayaa vo jo banegii dhuup
(kabhii tere kiraNe.n thii ThaNDii ThaNDii haay re
ab tuu hii mere jii me.n aag lagaaye) 2
chaa.Ndanii ai chaa.Ndanii - chaa.Ndanii, tere hai.n do ruup
TuuTe hue sapano.n kii apano.n kii tuu chhaayaa
chhaayaa vo jo banegii dhuup
(aate jaate pal kyaa hai.n samay ke ye jhuule hai.n
bichha.De saathii kabhii yaad aaye kabhii bhuule hai.n)2
aadamii ai aadamii - aadamii, tere hai.n do ruup
duHkh sukh ke jhuulo.n kii phuulo.n kii tuu chhaayaa
chhaayaa vo jo banegii dhuup 2
(ko_ii bhuulii huii baat mujhe yaad aa_ii hai
khushii bhii tuu laa_ii thii aur aa.Nsuu bhii tuu laa_ii hai)2
dillagii ai dillagii - dillagii, tere hai.n do ruup
kaise kaise vaado.n kii yaado.n kii tuu chhaayaa
chhaayaa vo jo banegii dhuup
|