ki: cha.ndaa dekhe cha.ndaa, to vo cha.ndaa sharmaae
gorii gorii chA.ndanii me.n, gorii jab muskaae
la: jiyaa bole piyaa, to ye jiyaa sharmaae
gorii gorii chA.ndanii me.n, gorii jab muskaae
ki: chaa.Nd se maathe pe bi.ndiyaa jhilamilaae aise
chaa.Nd suuraj raat me.n ek saath chamake aise
jii kare ye umar yuuhii.n dekhate kaT jaae
la: jiyaa bole piyaa...
nain ban jaatii hai ghuu.NghaT man dulhan kii aashaa
baa.nchate hai.n jab nayan tere nayan kii bhaashhaa
nain me.n chhup kar mere mujhako tuu mujhase churaae
ki: cha.ndaa dekhe cha.ndaa...
priit ke ra.ng me.n ra.ngaa hai teraa u.Dataa aa.nchal
la: maine baa.ndhaa hai isii me.n ek diivaanaa paagal
ki: aa.nchal kii chhaayaa me.n ye paagal jiye mar jaae
la: jiyaa bole piyaa...
|