gmd:
(bha.nvaro, naa) - 2 tab tak ha.Nsanaa re
jab tak naa kaliyaa.N ha.ns de.n
za:
kyuu.N pa.nchhii shor machaate
kyuu.N priit giit ye gaate
(papiihaa naa) - 2 pii pii kahanaa re
jab tak naa koyaliyaa ha.ns de
gmd:
ham unake ghar pe aaye.n
wo hame.n dekh chhup jaaye.n
(ai paa.nv) - 2, na tum thak jaanaa re
jab tak naa galiyaa.N ha.ns de.n
za:
meraa man ruuThaa jaa_e
ko_ii.n kyuu.N hame.n manaa_e
maa.njhii naa khenaa naiyaa re
jab tak naa nadiyaa ha.ns de
gmd:
man chhiinaa duurii duurii
ye kaisii hai majabuurii
saavan aise ha.ns degaa
saavan aise ha.ns degaa re
jab tak naa chi.Diyaa.N ha.ns de.n
za:
o ho ga_ii jiit tumhaarii
aakhir mai.n, aakhir mai.n tum se haarii
ab aashaa_o.n se kah do
ab aashaa_o.n se kah do re
ban kar dulhaniyaa ha.ns de
both:
ha.ns ha.ns kar haa haa ...
(ha.ns ha.ns kar ham the roye
ro ro kar ham the khoye) - 2
bhuule se man ko kah do
(bhuule se man ko kah do re
ab bhiigii a.nkhiyaa.N ha.ns de.n) - 2
|