kahii.n kaa diipak, kahii.n kii baatii -2
aaj bane hai.n jiivanasaathii
dekh ha.Nsaa hai chaa.Nd, musaafir
dekh chaa.Nd kii ora ...
dekh ghaTaa ghanaghor -2
musaafir, (dekh ghaTaa ghanaghor) -2
chaa.Nd ke mukh par ghu.NghaT Daale, (khel rahii jo khel ) -2
chhipaa liyaa aa.Nchal me.n mukha.Daa, (dekh ghaTaa kaa khel) -2
khel khel me.n dekh musaafir, ba.ndhii priit kii Dora
dekh chaa.Nd kii ora ...
dekh lahar kii ora -2
musaafir, (dekh lahar kii ora) -2
ta.Dap uThii jo dekh chaa.Nd ko, (chhipaa na paayii priit) -2
milana huaa cha.ndaa laharo.n kaa, (guu.nj uThaa sa.ngiit) -2
jhuum uThe hai.n dekh musaafir, cha.ndaa aur chakora
dekh chaa.Nd kii ora ...
|