giitaayan An Interface to ISB

dil bhii teraa ham bhii tere - Taksaal/ The Mint (1956)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Roshan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
dil bhii teraa ham bhii tere, hamako pyaare hai.n Gam bhii tere dil bhii teraa ham bhii tere, hamako pyaare hai.n Gam bhii tere aur bhii hai.n sitam to kar le, ke sitam bhii karam hai.n tere dil bhii teraa ham bhii tere laake tuufaano.n me.n rakh dii tuune naiyaa zi.ndagii kii aur shart-e-imtihaa.N hai ke na bhiige daaman bhii ke na bhiige daaman bhii ye bataa de kab talak yuu.N aazamaayegaa dil ko mere dil bhii teraa ham bhii tere ... ba.Dhate jaate hai.n andhere Duubii jaatii hai.n nigaahe.n tere bhaTake hue ba.nde jaaye.n to kidhar jaaye.n jaaye.n to kidhar jaaye.n duur kyo.n hai hamase daataa terii rahamat ke savere dil bhii teraa ham bhii tere ... tuu jo nazaro.n se giraa de to ye jiinaa bhii gunaah hai apanii duniyaa se uThaa le ab to ye hii iltejaa hai ab to ye hii iltejaa hai marate marate bhii rahegaa naam teraa hii lab pe mere dil bhi teraa ham bhii tere, hamako pyaare hai.n gam bhii tere aur bhii hai.n sitam to kar le, ke sitam bhii karam hai.n tere dil bhii teraa ham bhii tere
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.