giitaayan An Interface to ISB

chandan saa badan, cha.nchal chitavan, dhiire se teraa ye muskaanaa - Saraswatichandra (1968)  

Lyrics: Indeevar | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
##Mukesh version## cha.ndan-saa badan cha.nchal chitavan dhiire se teraa ye musakaanaa mujhe doshh na denaa jag_vaalo - 2 ho jaauu.N agar mai.n diivaanaa cha.ndan-saa badan ... ye kaam kamaan bha.Nve.n terii palako.n ke kinaare kajaraare maathe par si.nduurii suuraj ho.nTho.n pe dahakate a.ngaare saayaa bhii jo teraa pa.D jaae - 2 aabaad ho dil kaa viiraanaa cha.ndan-saa badan ... tan bhii su.ndar man bhii su.ndar tuu su.ndarataa kii muurat hai kisii aur ko shaayad kam hogii mujhe terii bahut zaruurat hai pahale bhii bahut mai.n tarasaa huu.N - 2 tuu aur na mujhako tarasaanaa cha.ndan-saa badan ... ---- ##Lata version## cha.ndan-saa badan cha.nchal chitavan dhiire se teraa ye musakaanaa mujhe doshh na denaa jag_vaalo - 2 ho jaae agar dil diivaanaa cha.ndan-saa badan ... ye vishaal nayan jaise niil gagan pa.nchhii kii tarah kho jaauu.N mai.n sarahaanaa jo ho terii baa.Nho.n kaa a.ngaaro.n pe so jaauu.N mai.n meraa bairaagii man Dol gayaa - 2 dekhii jo adaa terii mastaanaa cha.ndan-saa badan ... tan bhii su.ndar man bhii su.ndar tuu su.ndarataa kii muurat hai kisii aur ko shaayad kam hogii mujhe terii bahut zaruurat hai pahale bhii bahut dil tarasaa hai - 2 tuu aur na dil ko tarasaanaa cha.ndan-saa badan ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.