giitaayan An Interface to ISB

guzaraa huaa ulafat kaa zamaanaa - Maan (1954)  

Lyrics: Dr Safdar 'Aah' | Music: Anil Biswas | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
( guzaraa huaa ulafat kaa zamaanaa yaad karake roye.nge yaad karake roye.nge ) -3 ( jab saawan kii mast ghaTaae.n dhuum machaatii aaye.ngii ) -2 jab koyal kii miiThii taane.n kaano.n me.n bas jaae.ngii ham ek bhuulaa huaa taraanaa yaad karake roye.nge kabhii kabhii jab tumako apane dil kaa dard sunaate the kabhii kabhii kabhii kabhii jab tumako apane dil kaa dard sunaate the pyaar se ****** dekar saajan hamako gale lagaate the wahii pyaar se gale lagaanaa yaad karake roye.nge -2 guzaraa huaa ulafat kaa zamaanaa yaad karake roye.nge -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.