giitaayan An Interface to ISB

is desh ke javaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa - Farz (1947)  

Lyrics: Zahir Kashmiri | Music: K S Saagar | Singer(s): Zeenat Begum 
View in Nagari (Hindi)
( is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa aazamaayaa jaayegaa ) -2 sholaa hai zamiin banii bijalii giraaye aasamaa.N aag ke sholo pe chalaa desh kaa ye kaarawaa.N kaun siinaa taan nikale -2 desh mere kaa jawaan hi.nd par wo mar miTe uu.Nchaa kare komii nishaa.N -2 kaun aage ba.Dhake pehale pehalii golii khaayegaa aazamaayaa jaayegaa desh kii vidhavaa pukaare bhaag jinake so gaye saaye sar se uTha gaye bachche yatiim ho gaye gurabat kaa ek tuufaan uThaa -2 bahano.n se bhaai kho gaye maataao.n kii aa.Nkho.n ke taare rote rote so gaye kaun aaj in deviiyo.n ke rote dil ha.Nsaayegaa aazamaayaa jaayegaa is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa aazamaayaa jaayegaa uma.nge.n miT rahii hai.n aaj be-naam-o-nishaa.n ho kar bataa ae kaatib-e-qisamat likhaa kayaa badagumaa.n ho kar tavaqqo thii vo aae.n ge to dil ko chain aae gaa magar betaabiyaa.n uTThii.n kaleje me.n jawaa.n ho kar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.