#humming #
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
raahii hai.n sab ek Dagar ke sab par pyaar luTaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
idhar kafan tak nahii.n laash par udhar numaayish resham kii
yahaa.N swaya.nvar kare chaa.Ndanii vahaa.N na raat kaTe Gam kii
dharatii ka.nkar patthar maare ambar ugale a.ngaare
koii puuchhe baat na is bagiyaa me.n dukhiyaa shabanam kii
sukh kii umr ba.Dhaataa chal, dukh ko kafan o.Dhaataa chal
mile jahaa.N bhii mahal use kuTiyaa ke paas bulaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
bikaa-bikii sab or machii hai aane yaa do aano.n par
ismat bike doraaho.n par to pyaar bike duukaano.n par
Dagar-Dagar par ma.ndir masjid qadam qadam par gurudvaare
bhagavaano.n kii bastii me.n hai zulm bahut inasaano.n par
khi.Dakii har khulavaataa chal, saa.Ntal (?) har kaTavaataa chal
is par bhii roshanii na ho to dil kaa diyaa jalaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
ridarde(?) ke biich khaa_iyaa.N lahuu bichhaa maidaano.n me.n
ghuum rahe hai.n yuddh sa.Dak par shaa.nti chhipii shamashaano.n me.n
za.njiire.n kaT ga_ii.n magar aazaad nahii.n inasaan abhii
duniyaa bhar kii Kushii qaid hai chaa.Ndii ja.De makaano.n me.n
taT-taT raas rachaataa chal, panaghaT-panaghaT gaataa chal
pyaasaa hai har praaN, nayan kaa ga.ngaa jal chhalakaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
nayan-nayan tarase sapano.n ko aa.Nchal tarase phuulo.n ko
aa.Ngan tarase tyohaaro.n ko galiyaa.N tarase.n jhuulo.n ko
kisii ho.nTh par baje na ba.nsii kisii haath me.n biin nahii.n
umar samu.ndar kii de Daalii kis ne cha.nd babuulo.n ko
so_ii kiraN jagaataa chal, ruuThii subahe.n manaataa chal
pyaar naqaabo.n me.n na ba.nd ho har ghuu.NghaT khulavaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
|