jo Gam-e-habiib see duur the, vo khud apane aag me.n jal gaye
jo Gam-e-habiib ko paa gaye, vo Gamo.n se ha.Ns ke nikal gaye
jo thakey thakey se ?
vo shabaab banake machal gaye
vo nazar nazar se gale milii
vo bujhe charaag bhii jal gaye
ye shikas-e-diid kii karvaTen bhii baDii latiif-o-jamiil thii
mai.n nazar jhukaake ta.Dap gayaa
vo nazar bachaake nikal gaye
na khizaa me.n hai koii tiir ?
na bahaar me.n hai koii roshanii
ye nazar nazar ke charaage.n ho
kahii.n bujh gaye kahii.n jal gaye
vo nazar nazar se gale milii
vo bujhe charaag bhii jal gaye
jo sambhal sambhal ke bahak gaye
vo fareb raah the
vo makaam ishq ko paa gaye
jo bahak bahak ke sambhal gaye
jo khile hue hai.n rabish rabish
vo hazaar husn ?
magar un gulo.n kaa jawaab kyaa
jo qadam qadam pe kuchal gaye
na hai.n shaayad ab, gam-e- ?
na vo daag-e-dil na vo aarazoo
jinhe.n aitaabaar-e-bahaar thaa
vohii phuul ra.ng badal gaye
jo thakey thakey se
|