giitaayan An Interface to ISB

kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa - Diwaali Ki Raat (1956)  

Lyrics: Madhukar Rajasthani | Music: Snehal Bhatkar | Singer(s): Talat, Madhubala Zaveri 
View in Nagari (Hindi)
madhubaalaa: kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa Takaraayii nazar sharamaa hii gaye talat: ik jhukatii nazar ko dekh sanam ham piye binaa laharaa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa talat: zulfo.n kii ghaTaa_o.n me.n chhup kar jii bhar ke chalaa lo tiir-e-nazar ulafat kii adaa ke diiwaane sau tiir jigar par khaa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa madhubaalaa: tum raaz-e-muhabbat kyaa samajho tum ishq kii baate.n kyaa jaano haaye, kachche dhaage se ba.Ndh kar sarakaar merii tum aa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa talat: ai saaz-e-jawaanii chhe.D ko_ii ek giit suhaanaa pyaar bharaa do pyaar bhare dil aaj mile ma.nzil ko apanii paa hii gaye madhubaalaa: ai raat yahii.n par ruk jaa tuu ai chaa.Nd sitaaro.n mat Dhalanaa a.ndaaz-e-bayaa.N se zaahir hai ham un ke dil ko bhaa hii gaye dono.n: kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa Takaraayii nazar sharamaa hii gaye kahane ko bahut kuchh kahanaa thaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.