giitaayan An Interface to ISB

chaa.Nd maddham hai aasmaan chup hai - Railway Platform (1955)  

Lyrics: Sahir | Music: Madan Mohan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
chaa.Nd maddham hai aasmaan chup hai nii.nd kii god me.n jahaa.N chup hai chaa.Nd maddham hai ... duur vaadii me.n dukhiyaa baadal jhuk ke parbat ko pyaar karate hai.n dil me.n naakaam hasarate.n lekar ham teraa i.ntezaar karate hai.n in bahaaro.n ke saaye me.n aajaa phir mohabbat javaan rahe na rahe zi.ndagii tere naamuraado.n par kal talak maharabaan rahe na rahe roz kii tarah, aaj bhii taare subah kii gard me.n na kho jaaye aa tere Gam me.n, jaagatii aa.Nkhe.n kam-se-kam ek raat so jaaye chaa.Nd maddham hai aasmaan chup hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.