giitaayan An Interface to ISB

kyaa Kabar thii terii mahafil se nikalanaa hogaa - Pak Daman (Pakistan) (1969)  

Lyrics: Qateel Shafai | Music: Master Enayat Hussain | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
kyaa Kabar thii terii mahfil se nikalanaa hogaa dil na chaahe gaa magar aag pe chalanaa hogaa shamaa ik raat jalaa kartii hai lekin mujh ko umr bhar ke liye chup chaap pighalanaa hogaa chhiin lii payaar kii ThanDak to zamaane ne kahaa tujh ko ik aatish-e-gumanaam me.n jalanaa hogaa band hai.n maut kii raahe.n bhii asiiro.n ke liye jaane is qaid se ab kaise nikalanaa hogaa aasamaa.n vaalaa agar meraa Kudaa hai to use apanii duniyaa ke rivaajo.n ko badalanaa hogaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.