tan puujan ka taal hai, man puujan ka phuul
sajan milan ko jaa rahii, sajanii sab dukh bhuul
(saajan ke paas chalii sajanii
milan kii rajanii aa ga_ii
milan kii rajanii aa ga_ii)-2
(dhan i.ndradha.nush tan sohe
darpaN me.n ruup man mohe)-2
nak shik si.ngaar sa.nvaaraa, sabhii naino.n ko bhaa ga_ii
milan kii rajanii aa ga_ii
(saajan ke paas chalii sajanii)-2
kahii.n bajatii milan baa.nsuriyaa
(binaa piyaa kahe jiyaa piyaa piyaa)-2
mere man me.n ras kii badariyaa aa barasii, phir chaa ga_ii
milan kii rajanii aa ga_ii
(saajan ke paas chalii sajanii)-2
(ban chitava.n cha.ndr chakorii)-2
(tum Daalo kira.n kii Dorii)-2
mai.n lapaTo.n ke paT pahane, aga.n ke ras me.n aa rahii
milan kii rajanii aa ga_ii
saajan ke paas chalii sajanii
(milan kii rajanii aa ga_ii)-2
(saajan ke paas chalii sajanii)-4
|