giitaayan An Interface to ISB

chaa.Ndii kaa badan sone kii nazar - Taj Mahal (1963)  

Lyrics: Sahir | Music: Roshan | Singer(s): Rafi, Asha, Manna Dey, chorus 
View in Nagari (Hindi)
Male: chaa.Ndii kaa badan sone kii nazar us par ye nazaakat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye kis kis pe tumhaare jalvo.n ne to.Dii hai qayaamat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye chaa.Ndii kaa badan sone kii nazar Female: gustaaKh zubaa.N gustaaKh nazar ye ra.ng-e-tabiyat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye aise bhii kahii.n is duniyaa me.n hotii hai muhabbat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye GustaaKh zubaa.N gustaaKh nazar Male: aa.Nchal kii dhanak ke saaye me.n ye phuul gulaabii cheharo.n ke ye phuul gulaabii haaye gulaabii cheharo.n ke is vaqt hamaarii nazaro.n me.n kyaa chiiz hai jannat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye is vaqt hamaarii nazaro.n me.n tumase nazare.n jo milii.n diin-o-duniyaa se gaye ik tamannaa ke sivaa har tamannaa se gaye mast aa.Nkho.n se jo pii jaam-o-miinaa se gaye zulf laharaa_ii jahaa.N ham bhii laharaa se gaye huure.n milatii hai.n kise is kii paravaah se gaye is kii paravaah se, paravaah se, paravaah se gaye is vaqt hamaarii nazaro.n me.n kyaa chiiz hai jannat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye chaa.Ndii kaa badan sone kii nazar Female: yuu.N garm nigaahe.n mat Daalo ye jism pighal bhii pighal bhii sakate hai.n ye jism pighal bhii sakate hai.n u.De na kahii.n ruup kii shabanam * garm nigaahe.n Daalo kam-kam * aadaab-e-nazaaraa bhuule ho - 2 tum logo.n kii vahashat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye tum hame.n jiit sako is kaa imkaan nahii.n Khud ko badanaam kare.n ham vo naadaa.N nahii.n ko_ii marataa hai mare ham pe ehasaan nahii.n un se kyuu.N baat kare.n jin se pahachaan nahii.n tum ko aramaa.N hai to hai ham ko aramaan nahii.n ham ko aramaan ke aramaan ke aramaan nahii.n aadaab-e-nazaaraa bhuule ho tum logo.n kii vahashat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye gustaaKh zubaa.N gustaaKh nazar Male: jin logo.n ko tum Thukaraa ke chalo * vo log bhii qismat vaale hai.n * tum jis kii tamannaa kar baiTho * un logo.n kii qismat kyaa kahiye * ejii kyaa kahiye ye javaanii ye adaa ** kyo.n na maGaruur ho tum ** farsh par utarii hu_ii ** arsh kii huur ho tum ** shoKh jalvo.n kii qasam ** sholaa-e-tuur ho tum ** ko_ii dekhe to kahe ** nashe me.n chuur ho tum ** tum jis kii tamannaa kar baiTho * un logo.n kii qismat kyaa kahiye * ejii kyaa kahiye chaa.Ndii kaa badan sone kii nazar Female: din raat duhaa_ii dete hai.n ye haal hai in diivaano.n kaa jahaa.N dekhii na_ii suurat machal baiThe yahii, yahii, yahii le.nge ye haal hai in diivaano.n kaa diivaano.n kaa Male: jin kii Khaatir Gam sahe.n aur ro-ro jaa.N gavaaye.N haay rii qismat u.nhii.n ke muu.Nh se diivaane kahalaaye.N Female: in aashiqo.n ke haath hai ai zi.ndagii bavaal in kaa kare.n Khayaal ke apanaa kare.n Khayaal har lab arz-e-shauq to har aa.Nkh hai savaal ye Gam se beqaraar hai vo dard se niDhaal arey ye haal hai in diivaano.n kaa ye haal hai in diivaano.n kaa Male: merii nii.nd ga_ii meraa chain gayaa vo jo pahale thii taab-o-tabaan ga_ii yahii ra.ng rahaa yahii Dha.ng rahaa to ye jaan lo jaan kii jaan ga_ii ye haal hai in diivaano.n kaa - 2 Female: kisii ko Khud-Khushii kaa, shauq ho to, kyaa kare ko_ii Male: davaa-e-hijr de, biimaar ko, achchhaa kare ko_ii Female: ko_ii bevajah sar pho.De to kyo.n paravaah kare ko_ii Male: kisii majabuur-e-Gam kaa haal kyo.n aisaa kare ko_ii Female: mazaa to hai ke jab tum, tum ta.Dapaa karo, dekhaa kare ko_ii Male: mare.n ham aur tum par, ke tum par Khuun kaa daavaa kare ko_ii haa.N, daavaa kare ko_ii ye haal hai in diivaano.n kaa, diivaano.n kaa Female: jiite bhii nahii.n marate bhii nahii.n bechaaro.n kii haalat kyaa kahiye ejii kyaa kahiye chaa.Ndii kaa badan sone kii nazar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.