ho ho
(chal chale.n ai dil kare.n chal
kar kisiikaa intazaar
intazaar, jhiil ke us paar)-2
(shaayad koI paradesii mil jaae suune des me.n
mil jaae bhagavaan mujhako aadamii ke bhes me.n)-2
kyaa ho jaae kyaa hai aitabaar, jhiil ke us paar
chal chale.n ai dil kare.n chal
kar kisiikaa intazaar
intazaar, jhiil ke us paar
(jo is paar nahii.n koI kyaa jaane vo us paar ho
parbat ke piichhe ek sundar sapano.n kaa sa.nsaar ho)-2
aaii ho bahaaro.n pe bahaar, jhiil ke us paar
(chal chale.n ai dil kare.n chal
kar kisiikaa intazaar
intazaar, jhiil ke us paar)-2
chale.n
|