giitaayan An Interface to ISB

chho.Do kal kii baate.n, kal kii baat puraanii - Hum Hindustani (1960)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Usha Khanna | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
chho.Do kal kii baate.n, kal kii baat puraanii nae daur me.n likhe.nge, mil kar na_ii kahaanii ham hi.ndustaanii, ham hi.ndustaanii aaj puraanii za.njiiro.n ko to.D chuke hai.n kyaa dekhe.n us ma.nzil ko jo chho.D chuke hai.n chaa.nd ke dar par jaa pahu.nchaa hai aaj zamaanaa nae jagat se ham bhii naataa jo.D chuke hai.n nayaa khuun hai na_ii uma.nge.n, ab hai na_ii javaanii ham ko kitane taajamahal hai.n aur banaane kitane hai.n aja.ntaa ham ko aur sajaane abhii palaTanaa hai rukh kitane dariyaao.n kaa kitane pav.rt raaho.n se hai.n aaj haTaane ? aao mehanat ko apanaa iimaan banaae.n apane haatho.n se apanaa bhagavaan banaae.n raam kii is dharatii ko gautam ki bhuumii ko sapano.n se bhii pyaaraa hi.ndustaan banaae.n ? daag gulaamii kaa dhoyaa hai jaan luTaa ke diip jalaae hai.n ye kitane diip bujhaa ke lii hai aazaadii to phir is aazaadii ko rakhanaa hogaa har dushman se aaj bachaa ke ? har zarraa hai motii aa.Nkh uThaakar dekho miTTii me.n sonaa hai haath ba.Dhaakar dekho sone ki ye ga.ngaa hai chaa.ndii kii jamunaa chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho ?
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.