giitaayan An Interface to ISB

dhuaa.N banake fizaa ne u.Daa diyaa mujhako - Best of Sajda (Non-Film)  

Lyrics: Nazeer Baqri | Music: Jagjit Singh | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
dhuaa.N banake fizaa ne u.Daa diyaa mujhako mai.n jal rahaa thA kisii ne bujhaa diyaa mujhako kha.DA huu.N aaj bhI roTii ke chaar harq liye savaal ye hai kitaabo.n ne kyA diyaa mujhako safed sa.ng kii chaadar lapeT kar mujh par fasil-e-shahar me.n kisane sajaa diyaa mujhako mai.n ek zarraa bulandii ko chhuune nikalaa thA havaa ne thaam ke zamii.n par giraa diyaa mujhako ## Dictionary : 1. fiza - environment 2. hurf - words 3. sung - stone 4. faseel-e-shaher - boundary of city 5. zurra - small particle 6. bulundi - height ##
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.