giitaayan An Interface to ISB

dil aaj shaayar hai, Gam aaj naGamaa hai - Gambler (1971)  

Lyrics: Neeraj | Music: S D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
dil aaj shaayar hai, Gam aaj naGamaa hai shab ye Gazal hai sanam gairo.n ke shero.n ko o sunane vaale ho is taraf bhii karam (aake zaraa dekh to terii khaatir ham kis tarah se jiye) - 2 aa.Nsuu ke dhaage se siite rahe ham jo zakhm tuune diye chaahat kii mahafil me.n Gam teraa lekar qismat se khelaa juaa duniyaa se jiite par tujhase haare yuu.N khel apanaa huaa ... (ye pyaar hamane kiyaa jis tarah se usakaa na koii javaab) - 2 zarraa the lekin terii lau me.n jalakar ham ban gae aafataab hamase hai zi.ndaa vafaa aur ham hii se hai terii mahafil javaa.N jab ham na ho.nge to ro roke duniyaa Dhuu.NDhegii mere nishaa.n ... (ye pyaar koii khilaunaa nahii.n hai har koii le jo khariid) - 2 merii tarah zi.ndagii bhar ta.Dap lo phir aanaa isake kariib ham to musaafir hai.n koii safar ho ham to guzar jaae.nge hii lekin lagaayaa hai jo daa.nv hamane vo jiit kar aae.nge hii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.