%
(dil dil se milaa kar dekho,
nazaro.n me.n samaa kar dekho,
apanaa to banaa kar dekho,
hotii hai mohabbat kyaa ) (2)
(ham pyaar me.n kho gaye aise,
parades me.n raahii jaise ) (2)
ulfat kaa nashaa,
jab ho hii gayaa,
daaman ko chhu.Daaye.n kaise,
nazare.n to uThaa kar dekho,
vo tiir chalaa kar dekho,
apanaa to bana kar dekho,
hotii hai mohabbat kyaa,
dil dil se milaa kar dekho,
nazaro.n me.n samaa kar dekho,
apanaa to banaa kar dekho,
hotii hai mohabbat kyaa
(laharaa ke havaa jab aaii,
phir Dasane lagii tanhaaii, ) (2)
dil pahu.Nchaa vahaa.N,
dilavar thaa jahaa.N,
to bajane lagii shahanaaii
dil me.n to biThaa kar dekho,
kuchh pAs to aa kar dekho
apanaa to banA kar dekho,
hotii hai mohabbat kyA
dil dil se milaa kar dekho,
nazaro.n me.n samaa kar dekho,
apanaa to banaa kar dekho,
hotii hai mohabbat kyaa
|