giitaayan An Interface to ISB

dil kaa haal sune dilavaalaa, siidhii sii baat na mirch masaalaa - Shri 420 (1955)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Manna Dey 
View in Nagari (Hindi)
dil kaa haal sune dilavaalaa siidhii sii baat na mirch masaalaa kahake rahegaa kahanevaalaa dil kaa haal sune dilavaalaa chhoTe se ghar me.n gariib kaa beTaa mai.n bhii huu.N maa.N ke nasiib kaa beTaa (2) ranj-o-Gam bachapan ke saathii aa.Ndhiyo.n me.n jalii jiivan baatii bhuukh ne hai.n ba.De pyaar se paalaa dil kaa haal sune dilavaalaa (haay karuu.N kyaa suurat aisii gaa.nThake puure chor ke jaisii - 2) chalataa phirataa jaanake ek din binaa dekhe pahachaan ke ek din baa.ndhake le gayaa pulisavaalaa dil kaa haal sune dilavaalaa buu.Dhe daarogaa ne chashme se dekhaa (2) aage se dekhaa piichhe se dekhaa uupar se dekhaa niiche se dekhaa bolaa ye kyaa kar baiThe ghoTaalaa haay ye kyaa kar baiThe ghoTaalaa ye to hai thaanedaar kaa saalaa, dil kaa haal sune dilavaalaa Gam se abhii aazaad nahii.n mai.n Kush magar aabaad nahii.n mai.n (2) ma.nzil mere paas kha.Dii hai paa.Nv me.n lekin be.Dii pa.Dii hai Taa.nga detaa hai daulatavaalaa, dil kaa haal sune dilavaalaa sun lo magar ye kisii se na kahanaa tinake kaa leke sahaaraa na bahanaa (2) bin mausammal haar na gaanaa aadhii raat ko machchil laanaa varanaa paka.D legaa pulisavaalaa dil kaa haal sune dilavaalaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.