%
dil kahe ruk jaa re ruk jaa, yahii.n pe kahii.n
jo baat (2) is jagah me.n, hai kahii.n pe nahii.n
(1) parbat Upar khi.DakI khuule, jhaa.Nke sundar bhor,
chale pavan suhaanii
nadiyo.n ke ye raag rasIle, jharano.n kA ye shor
bahe jhar jhar paanI
mad bharaa, mad bharaa samaa, ban dhulaa-dhulaa
har kalii sukh palii yahaa.N, ras ghulaa-ghulaa
to dil kahe ruk jaa he ruk jaa...
(2) uu.nche-uu.nche pe.D ghanere, chhanatI jinase dhuup
kha.Dii baa.Nh pasaare
niilii niilii jhiil me.n jhalake niil gagan kaa ruup
bahe ra.ng ke dhaare
Daalii-Daalii chi.Diyo.n ki sadaa, sur milaa-milaa
champaaii champaaii fijaa, din khilaa-khilaa
to dil kahe ruk jaa re ruk...
(3) pariyo.n ke ye jamaghaTa, jinake phuulo.n jaise gaal
sab shokh hathelI
iname.n hai vo alha.Da jisakI hiraNii jaisii chaal
baDii chhail-chhabIlI
manachalii-manachalii adaa, chhab javaa.n javaa.n
har gha.DI cha.Dha rahaa nashaa, sudh rahii kahaa.N
to dil kahe ruk jaa re ruk jaa...
|